Huzoor TajushShari’ah Arbaab-e-ilm Ki Nazar Mein  (1) Huzoor Mufti-e-Azam Aalam-e-Islam  ”AKHTAR MIYAN Ab Ghar Mein Baithne Ka Waqt Nahi,
Yeh Log Jinki Bheed Lagi Huee Hai Kabhi Sukoon Se
Baithne Nahi Dete, Ab Tum Is Kaam Ko Anjam do,
Main Tumhare Supurd Kerta Hoon,
Logon se Mukhatib Hoker Mufti-e-Azam Ne Farmaya,
Aap Log Ab Akhtar Miyan Sallamahu Se Ruju Kiya Karein Unhe Mera Qayem Maqam Aur JaNasheeen
Janein
(Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfaa jild1 P152) 2) Huzoor Qutub-e-Madeenah Mujhe Mere Murshid Huzoor Aalahazrat Radi Allahu
Anhu Se Jo Kuch Mila Un Khanwade Ke Shehzaado
Moulana Ibrahim Raza khan Moulana Rehan Raza
Khan Aur Moulana Akhtar Raza Khan ko Ataa Ker
Diya (Qutub-e-Madeenah) 3) Huzoor Sayyad-ul-Olma Huzoor Sayyad-ul-Olma Mufti Shah Aal-e-Mustafa
Barkati Marehrawi AlehiRehmah Ne Huzur
TajushShariah Ko Jamee’a Salaasil Ki Ijazat Wa
Khilaafat Ataa Farmaai Aur Duaa’n se Nawaza
(Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfa =P162) 4) Huzoor Mujahid-e-Millat Eik Saheb Ki Walida Huzoor Mujahid-e-Millat Se
Mureed Hona Chahi to Aapne Farmaya,
Miyan Sarkar Aalahazrat AlehiRehma Ke Shehzade
Hazrat Azhari Miyan Ki Moujoodgi Mein Aisa Kaise Ho
Sakta Hain Ke Main Mureed Karoon Unhi Se Mureed
Kerwaiye, Dusari Riwayat Hai Ke Huzur Mujahid-e-Millat ne
Farmaya Ke Main Hazrat Azhari Miyan Saheb Ke
Samne Se Hoker Kaise Guzar Sakta Hoon
Akheer Kaar Pichhle Darwaze Se Hoker Andar
Tashreef Le Gaye Aur Farmaye Ke Koi Tez Aawaz Mein
Na Bole Ke Hazrat Azhari Miyan Tashreef Farma Hain Aahista Bolo Shehzade Qayam Farma Hain
( Raawi Hazrat Moulana Abdul Mustafa Hashmati
Rudoli Shareef) 5) Qazi Shamsh-ul-Olma Eik Din Hum Tamam Talib-e-Ilm Hazrat Qazi Sham-ul-
Olma Allama Shamsuddin Razvi Jounpuri Talmeez
Huzur SadrusShariah AlehiRehma Ke Dars Mein
Moujood The Aur Hazrat Padha Rahe The,
Eik Buzurg Sifat Insaan Tashreef Laaye, Qazi Saheb Ne
Khade Hoker Unka Isteqbaal Kiya, Aane Waale ko Apni Masnad Per Bithaya,
Aur Khud Muwaddab Ho Ker Baith Gaye
Us waqt Talba Ke Zehen-o-Dimagh Mein Kiya Ta’assur
Ubhra? usko Main Nahi Bata Sakta,
Albatta Maine Mehsoos Kiya Qazi Saheb Jaisi
Shakhsiyat ,,, Allah Allah Unki ilmi Shaan-o-Shoukat Ka Yeh Aalam Tha Ke Bade Bade Unke Saamne Tifl-e-
Maktab Maloom Hote The Apne Asaataza Mein Se Kisi
Se Main Daryaaft Kiya Ke Yeh Hazrat Koun Hain????
Unhone Farmaya,
” Yeh Azhari Miyan Qibla Hain”
(Moulana SHAMSHAD HUSSAIN RAZVI BADAYOON SHAREEF) 6) Huzoor Ahsan-ul-Olma 14-15 Novembar 1984 Ko Marehrah Shareef Mein
Urs-e-Qasimi Ke Taqreeb Mein Hazrat Ahsan-ul-Olma
Moulana Mufti Sayed Hasan Miyan Barkati Sajjada
Nasheen khanqah-e-Barkatiya Marehra Shareef Ne
Jansheen-e-Mufti-e-Azam Ka Isteqbaal Qayem
Maqam Mufti-e-Azam allama Azhari Zindabad Ke Naare Se Kiya Aur Majma-e-Kaseer Mein Olma Wa
Mashayekh Aur DanishWaro Ki Moujoodgi Mein
JaNasheen-e-Mufti-Azam Ko Yeh Keh Ker
Faqeer Aastana-e-Aaliya Qadriyah Barkatiya Nooriya
Ke Sajjada Ki Haisiyat Se Qayem Maqam Mufti-e-Azam
Allama Akhtar Raza Khan Saheb Azhari Ko Silsila-e- Qadriya Barkatiya Nooriya Ki Tamam Khilafat Wa
Ijazat Se Mazoon Wa Majaz Kerta Hoon,
Poora Majma Sun Le
Tamam Barkati Bhai Sun Lein
Aur Yeh Olma-e-Kiram Jo Urs Mein Moujood Hai Is
Baat Ke Gawaah Rahein ( Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa P162) 7) Huzoor Mufassir-e-Azam hind Dr Abdul Naeem Azeezi Likhte Hain,
Walid Majid Mufassir-e-Azam Hind Ne Apne Farzand
Arjmand Ko Qabl-e-Faraghat ilm-e-Aalahazrat Ka
JaNasheen Banaya Aur Eik Tehreer Bhi Inaayat
Farmaai,
Bawajhe Ilaalat Yeh Tawaqqo Nahi Ke Ab Ziyada Zindagi ho, Zaroorat thi Ke Dusara Qayem Maqam Ho
Lihaza Akhtar Raza Sallamahu Ko Qayem Maqam Wa
JaNasheen-e-Aalahazrat Bana Diya Gaya Janasheeni
Ka Amama Bandha Gaya Aur Ibaa Pehnaai Gayi
(Mahnama Aalahazrat or Mufti-e-Azam Aur Unke
Khulfa P163) 8) Sadr-ul-Olma Allama Tehseen Raza Khan Al-Humdulillah Ke Hazrat Allama Azhari Miyan
Sallamahu Ne Bawajood Gonaagu’n Masroafiyaat Aur
Ilaalat-e-Taba iska(Al-Motaqid) Tarjuma Farmaya Ta
Ke Uske Fayeda Aam Ho Jaye,
Iska Bil-istiaab Mutala to Main Na Ker Saka Magar
Jasta Jasta Jo Maqamaat Meine Dekha Usse Badi Khushi Haasil Huee Ke Bahut Siles Aur Ba Muhawarah
Tarjuma Kiya Hai
(Al-Motaqid p38) 9) Shareh Bukhari Mufti Shareef-ul-Haq Hazrat Mufti Shareeful Haq Amjadi AlehiRehma Jo
Taqreeban 11 Saal Tak Bareily Shareef Mein Huzur
Mufti-e-Azam hind Ki Sarparasti Mein Fatawa Likhte
Rahe Aur Jinhe Mufti-e-Azam Ki Umr hi Main Nayeb
Mufti-e-Azam Kaha Aur Likha Jata Raha Unki Zubani
Raqim-us-Sutoor Ne Kai Baar Unka Yeh Ta’assur Suna Ke “Hazrat Mufti-e-Azam hind ko Apni Zindagi Ke
Aakhri 25 Saalo Mein Jo Maqbooliyat Wa Her Dil
Azeezi Hasil Huee Woh Aap Ke Wisaal Ke Baad Azhari
Miyan Ko Badi Tezi Ke Sath Ibtidaai Saalon hi Mein
Haasil Ho Gayi Aur Bahut Jald Logon Ke Dilo Mein
Azhari Miyan Ne Apni Jagah Banaa Li ( Allama Yaseen Akhtar Misbahi) 10) Allama Arshad-ul-Qadri Allah Ta’ala Ne Huzoor Azhari Miyan Ko Zabardast
Maqbooliyat Di Hai,
Aisi Maqbooliyat to Dekhne Mein Nahi Aai,
Dekho to Sahi Ke Azhari Miyan Ko Mukhtalif Jagah
Progaram Mein Jana Tha Ranchi Airport Per Utre Phir
Bazariya Car Fulaa’n Jagah Pahunchna Tha Magar Ranchi Mein Unse Milne Ke Liye Hazaro Mai-Kasho’n Ki
Bheed Jama Ho Gayi Thi,
Jab Ke Ranchi Mein Rukna Na Tha,
Sirf Wahaan Se Guzarna Tha,
Magar Aanan Fanan Mein Itne Logon Ka Jama Ho
Jana Badi Baat Hai, Maloom Hota Hai Ke Koi Dusari Makhlooq Logon Ke
Kaano Tak Baat Pahuncha Deti Hai,
Aur Aanan Fanan Sub Jama Ho Jaate Hain,
( Raawi Mufti Aabid Hussain Noori) 11) Allama Mohummed Mushahid Raza Khan Hashmati Faqeer Haqeer Ne Kitab Banam “Tie Ka
Masla”(Musannifa Huzur TajushShariah) BaGhour-O-
Khoj Mutala Kiya Apne Dalayel Ke Lihaaz Se Woh
Fatwa Kisi Ki Tasdeeq Ka Mohtaj Nahi Fir Bhi Imtishal-
e-Amr Ke Liye Faqeer Tasdeeq Kerta Hai
( Tie Ka Malsa) 12) Allama Khawaja Muzaffar Hussain Razvi Hazrat TajushShariah Ne In Ahem Mubaahis Ka Siles
Urdu Zubaan Mein Aisa Barjasta Tarjuma(Al-Motaqid)
Farmaya Hai Ke Tarjuma Hi se mafhoom Waze Ho Jata
Hai Uske Bawajood Ja Baja Paicheeda Masayel Ki Aisi
Uqda Kashai Ki Hai Ke Be Ikhtiyaar Zubaan se Nikal
Padta Hai Ke Yeh Aalahazrat Aur Mufti-e-Azam Ke Faiz Se TajushShariah Hi Ka Khaasa hai
(AlMotaqid =P46) 13) Allama Abdul Hakeem Sharaf Qadri huzoor TajushShariah Se Hazrat Ke Rawabit Bahut
Gehre The Safar-e-Pakistan Ke Mouqe Per Walid-e-
Girami AlehiRehma Se Masayel-e-Shariya Per Sanjeeda
Mahoul Mein Guftagu Hua Kerti Thi,
Hazrat Walid-e-Maajid Huzur TajushShraih Ke ilm-o-
Fazl Fiqhi Baseerat Aur Hadees Daani Ke Motarif The (BaRiwayat Doctor Sudedi) 14) Mufti-e-Azam Rajisthan Allah Rabbul Izzat Ne Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza
Qadri Azhari Madazillahul Aali Ko BeShumar Fazayel
Aur Manaqib-e-Jaleelah Se Nawaaza hai,
Main aapke Ilm-o-Fazl Hizm-o-Ittiqa Tasneefi Fiqhi
Tableeghi Khidmaat Se Bahut Mutaasir Hoon,
Arbi Adab Mein Aap Huzoor Hujjat-ul-Islaam Hazrat Allama AsShah Mufti Hamid Raza Khan Qadri
Alehirehma Ke Par-to hain,
Neez Huzur Sayyudna Aalahazrat imam Ahmed Raza
Qadri Bareilvi Ka Aap Per Khusoosi Faizan Hai Jiski
Waaze Nazar Yeh Hai Ke “Asia Europe” Ki Buland
Aahang Chotiyo Per Aap Ki Azmato Ke Parcham Lehra Rahe Hain,
Aur Aap Ki Ilmi Jalaalat Wa Shakhshi Wajaahat Ke
Aage Bade Badon Ke Sar Khameeda Nazar aate Hain
( Ma’arif-e-Mufti-e-Azam RajisThan-P383) 15) Musannif Tasaaneef-e-Kaseerah Hazrat Allama Faiz Ahmed Owesi Hazrat TajushShariah Ne Al-Motaqid Ka Tarjuma
Farmaya Faqeer Ne Sa’adat Samjh Ker Kitab-e-
Mazkoor Ka Mutalaa Kiya,
Usse Se Faqeer Ilmi Tor se Khoob Mustafeed Huaa
Faqeer Yaqeen Or Nihayat Wasooq Se Arz Kerta Hai Ke
Awaam Ke Liye to Aqayed Ke Muaamilat Mein Bila Shubah Yeh Tarjuma Shareef Rehbar Wa Haadi Hai
Lekin Olma e kiram ke Liye Bhi Behtareen Dastawez
hai
(Al-Motaqid-P52) 16) Mufti Abdul Lateef Saheb Qibla Faqeer Ne Kitab ka Urdu Tarjuma Kahin Kahin Se
Mulahiza kiya,
Al-Humdulillah JaNasheen-e-Mufti-e-Azam hind
TajushShariah Hazrat Allam Mufti Akhtar Raza Khan
Qadri Madazillahul Aali Ne Badi Arq Rezi Se Yeh
Tarjuma Farmaya Hai, Yaqeenan Huzoor TajushShariah Her Hawale se Apne
Aaba Wa Ajdaad Ke Sachche JaNasheen Hain,
Allah Ta’ala Unka Sayaa Ahlesunnat Per Daraaz Kare
Aameen
(Almotaqid P-66) 17) Hazrat Allama Abdullah Khan Azeezi Hazrat Allama Wa Moulana Mufti Akhtar Raza Khan
Azhari Saheb Qibla Madazillahul Aalu JaNasheen-e-
Huzur Mufti-e-Azam h